Tuesday, November 11, 2008

Gazala Hassan

" How does feel away from home"……

Still I feel the incompleteness in completing these verses…

(read in Urdu)

shamey firaq ab na pooch ki dag-e -dil humko yaad aanay lagay

kuch mehaktay kuch sisasktay andaaz yaad aanay lagay,

hum to khud ko bhulanay chalay thay,

is bhoolnay kay andaaz main kon bhoolay huway yaad aanay lagay…

Kuch beetay huway pal,who guzray zamanay

Is raat ki tanhayee main,kya is zamaanay say kahain

Kis ka anhaar samjayay Kis kis ko hum batlayay

aisay main kon yaad aayay…

Khud say hee saree baat huwee

Aap main hee kuch gum say gayay

Saray zamanay ki roshni main Saree umr ki tanhayee

Kuch sitaroon say bhi kahee, yeh ajab chup see raat huwee

Saree raat janay kuyn who guzray pal yaad aayay….

Ajab yeh manzar,aaraam say yeh baat huwee

Hum baykaraan huway jo…

Who chand karaar kay zamanay yaad aayay…

Jo hum pai guzree who raat bayaan na huwee…

Jo na guzree aisee raat huwee…

Aisay main hum batlayain kya Koyi bala kuyn kar yaad aayay

Ranjish ka yeh ehsaas,yeh waqt ka shayed hai takaza

Hum bhoolna to chahay par yaad aayay

Mayra maula aisa kabhi to ho, Mushkilain kuch to aasan hojayain

Is bhoolnay ki koshish main mumkin hai nakaam hum lotain

Ab janiyay ghazal kya bhoolee aur kya yaad aayay.....

No comments: